2 Line Shayari in English
Welcome to my blog, a space where emotions are beautifully woven into the art of two-line Shayari in English. Here, every line is a glimpse into the heart, capturing love, pain, joy, and life’s fleeting moments in just a few words.
Whether you’re a poetry lover or someone seeking solace in words, this is your haven for heartfelt expressions that resonate deeply. Let these short yet powerful lines inspire, heal, and connect us through the magic of poetry.
2 Line Love Shayari in English
Khali kalaiyan liye phirti ho maharuma,
Mujhse churiyon ka kyun nahi kehti. 🖤🌸
Ek hi shaks pe markuz hai duniya meri,
Yani ek shaks mujhe arz-o-sama jaisa hai. ❤️
Tere chhupne se chhupengi na humari yaadein,
Tu jahan hoga, wahin zikr humara hoga.
Yun judai to guwara thi, ye maloom na tha,
Tujhse yun mil ke bichadna bhi guwara hoga.
Yun hi kisi sham aao tum,
Tumhe haal-e-dil sunayen hum. 🥀
❤️❤️ Bada hi khamosh sa ______ andaaz hai tumhara,
❤️❤️ Samajh nahi aata, fida ho jaun ya fana ho jaun. ❤️❤️
Teri yaad ne mere dil ko sarkari daftar bana rakha hai,
Na kisi ki sunta hai, na koi kaam karta hai.
🌹🌹🌹 Hum ko tarteeb mein laya nahi koi, warna 👍
Hum jo bante to mohabbat se bhara dil bante. 🌹🌸
Yaad ki khushboo khol ke rakh deti hai sare raaz,
Ghar mein phool chhupana kitna mushkil hai… ❤️❤️
Mujhko rakhna hai to sine se laga ke rakho,
Mujhko in aam se logon mein nahi aana hai.
2 Line Shayari in English on life with emoji:
Kambakht yeh hichkiyan rukti hi nahi hain!!!!
Na jaane yeh kis ke zehan mein aa kar atak gaya hoon mein🙂
🦋 Teri mohabbat hayaat ko likhoon kisi ghazal ke naam
♥️ Tera husn bhi jaan lewa, teri sadgi bhi kamaal hai 🥰
Aap hum se humkalam hone ka irada to kijiye!!
Yeh duniya-dari ke saare kaam phir rafa-dafa!!! ✨🦋🥀
Mukhtasar yeh ke tum pyare ho 🤗💗
Khalasa yeh ke jaan se bhi zyada
Mila hai koi jo aadat ban gaya hai,
Har ek lamha khoobsurat ban gaya hai. 🫀✨🤗
Ab kyun dekhoon chaand ko aasman mein,
Jab chaand hi zameen par mil gaya hai.
Zindagi khoobsurat logon se khoobsurat nahi hoti,
Mukhlis logon se khoobsurat hoti hai 💞🥰🖤
Mera wada hai tumse meri jaan, mohabbat se zyada 🥰💐
Tumhari izzat ka khayal rakhunga meri jaan. 🌹🥀❤️❤️💗🤗
Karoge ek din tum bhi humse milne ki arzoo✨
Paoge hum ko bas kabhi khayalon mein, kabhi sawalon mein🔥🙌🏻
Milte hain shab-o-roz sabhi log shanasa,
Ek tum se mulakat ka armaan bohat hai..!! 🥀
Sari duniya ko door rehne do 💞🥀
Tum mere aas-pas 💞🥀